Rap lyrics kaise likhe hindi me tips

       Rap lyrics kaise likhe hindi me tips
   
Hi dosto mera naam parvindra singh hai aur me aaj apko 'Rap' likhne ke liye kuch tips bataunga  jisse aap bahut asaani se 'Rap' song likh sakte hai.. 

Dosto sabhi arts ki trah song likhna bhi aisa art hai jise ham paise se nahi kharid sakte agar aap ye hunar apne andar lana chahte hai to bas apko thodi si mehnat karni hogi....
To dosto me apko kuch remembering points batata hu jisse aap bahut asaani se ek acha rap song likh sakte...

1.Topics:Dosto Rap likhne k liye hamare paas koi TOPIC hona bahut jruri, jab ham Rap likhne ke baare me soch te hai to ham ye nahi samjh pate hai ki ham likhe to kya likhe ya fir kese start kare???



Apko pata hoga famous rapper Eminem ne jyadatar Rap apni life ke baare me hi likha hai...

Wese examples k liye me apko kuch topic batata hu...
. Apne 'MAA' ya 'FATHER' Ke bare me
.Apne life k baare me
.About love bhi likh sakte hai
.About breakup bhi likh sakte
. About corruption bhi likh sakte hai
.About Peace and unity bhi likh sakte hai
Matlab dosto aise bahut se TOPICS jo aap khud bhi choose kar sakte hai ya soch sakte hai..

2.Think deeply about the topic:  Dosto jab aap koi 'Topic' choose karte hai to ye bahut jaruri hai aap us TOPIC ke baare me gahrai se soche aur us topic ka chhote se chhota point notice kare taki apko jyada se jyada word us topic ke baare m mil sake..

Jaise ki mene apna pahla rap apne 'MAA' ke liye likha tha aur aap use padhkar dekh sakte hai mene chhote se chhote point ko likhne ki koshis ki hai..

Mera lyrics aap diye gaye link pe check kar sakte ho..
3.Rhyme words:



Dosto Rap me rhyme hona bahut jruri hai. Agar rap me perfect rhyme nahi hai to rap bekar hai, isiliye aap log jyada se jyada rhyme word likne ki koshis kare..


For example:  "Jab chhota tha mein, maa pyar se khilati.

Mujhe najar na lage kala teeka lagati."

Dosto yaha pe 'khilati aur 'lagati' rhyme word hai...

4.Verse and song title:   Verse1---->songtitle--->verse2--->songtitle---

Dosto jo mene upar likha iska matlab ye hai ki jab aap koi song likhenge to uska songtitle jrur denge yaad rahe apke gaane jo main topic hai aap songtitle bhi usi naam se rakhe...

Aur dosto 'verse' gaane me change hota rahta hai but 'songtitle: nahi change hota hai aur gaane me aap apne songtitle ka use do se teen baar jrur kare ya har verse ke baat songtitle ko gaaye fir verse gaaye aur fir songtitle gaaye..

Isko sahi tarike se smjhne k liye 

Mere youtube link ke description me mera lyrics jrur padhe...


5. Practice and hard work.   



Dosto ye mera last point me apko bata raha hu ki dosto agar insaan lagataar mehnat aur abhyaas kare to wo kisi bhi kaam me maharat hasil kar sakta hai..
Bas aap haar mat maniye...
Apko jab bhi time mile rap likte rahiye kyuki dosto practice bahut badi cheez hoti hai..
Apko pata hai Rapstar Eminem ko log lyrics ka jaadugar kahte hai...
Aur Eminem aaj bhi jab apna rap likhte hai to 20-20 ghante studio me hi bita dete hai..
Kyuki kisi ne sahi kaha hai
'suraj ki trah chamakna hai to,pahle uski trah jalna seekho'
To dosto isi k saath me apni baate khatam karta hu umeed karta hu apko mera tips jrur pasand aya hoga.
Agar mujhse kuch bhi poochna chahte hai to mujhe mail karsakte hai..

Be happy

Be positive 


😁😁😁 parvindrasingh254@gmail.com




















Post a Comment

0 Comments